Bollywood News Updates Celebrating 25 Golden Years of Shah Rukh Khan. Sharing SRK’s Top 30 movies and their famous dialogues..
Raees – 2017

Shahrukh Khan Famous Dialogues – Raees Dialogues
“Koi dhanda chhota nahi hota, aur dhande se bada koi dharm nahi hota.”
“Baniye ka dimaag … miya bhai ki daring”
“(Aaj kal din ache chal rahe hai tere) … Din aur raat logon ke hote honge … sheron ka zamana hota hai..”
Fan – 2016

SRK’s Fan Dialogues
“Connection bhi na kamaal ki cheez hai … bas ho gaya toh ho gaya …” “Wi-Fi, bluetooth se bhi zyada strong hai apna
connection”
“Jab raaton ko taare ginne ka mann kare aur har taare pe mera naam bhunane ko dil kahe … samajh lena pyar hai … jab
chalte chalte peeche mudne ka mann kare … beedh mein, anjaane mein aankhen mujhe dhoonde lage … samajh lena wohi pyar
hai … agar yakeen na ho toh yeh haath thaamkar dekh lo … dhadkane wahin tham jaaye toh samajh lena yahi pyar hai..”
“Akal ke saamne shakal haari jaati hai … shakal ki nakal toh kar sakte hai … lekin akal ki nakal bhi nakli hoti hai..”
“Meri maa kehti hai khate waqt roti aur maarte waqt bandhe ginna … bahut buri baat hai…”
Dilwale -2015

Dilwale Dialogues
“Hum shareef kya hue … poori duniya hi badmaash bann gayi”
Happy New Year – 2014

Shahrukh Khan Dialogues in Happy New Year Movie
“Kismat badi kutti cheez hai … saali kabhi bhi palat jaati hai..”
“Duniya mein do tarah ke log hote hai … winners and losers … lekin zindagi har loser ko woh ek mauka zaroor deti hai
… jis mein woh winner ban sakta hai…”
“Roti ke bina insaan chaar hafte jee sakta hai, pani ke bina chaar din aur hawa ke bina shayad chaar minute … lekin umeed
ke bina insaan chaar second bhi nahi jee sakta hai”
Chennai Express – 2013

Shahrukh Khan Famous Dialogues in Chennai Express
“Don’t underestimate the power of a common man”
Jab Tak Hai Jaan – 2012
Jab Tak Hai Jaan Dialogues
“Yadhaash bhi kitni ajeeb cheez hoti hai … kis cheez ko poori zindagi bhoolne ki koshish karo, woh bhoolti nahi …
kabhi ek choti si cheez yaad karne ki koshish karo, toh yaad nahi aati.”
Ra.One – 2011

Ra.One Dialogues
“Ladai goliyo se nahin … dil se jeeti jaati hai.”
“Ek kal hamare peeche hai, ek kal hamare baad … aaj, aaj ki baat karo, aaj hamare saath..”
“Woh raat bhi khoobsurat thi aur woh ladki bhi … raat ko subah ka intezaar tha aur ladki ko mera..”
Don 2 – 2011

Shahrukh Dialogues in Don 2
“Mere dushman samajh rahe the main ab kabhi lautke na aaunga … ek gumnaami ka samundar hai, us mein hi jaake doob jaaunga
… abhi baaki meri kahani hai, sari duniya ko joh sunaani hai … mujhe pehchano, dekho main hoon kaun … aa raha hoon
palat ke main hoon Don, Don, Don..”
“Don apne doston ka haal pooche na pooche … apne dushmano ki khabar hamesha rakhta hai”
“Isse pehle ki Don ka dushman apni pehli chaal chale … Don apni agli chaal chal chuka hota hai “
“Don ke dushman ko yeh baat hamesha yaad rakhni chahiye … ki Don kabhi kuch nahin bhoolta”
“Taqat ek nasha hai … aur main us nasha banane waali factory ka eklauta maalik hoon”
My Name Is Khan – 2010

Shahrukh Khan Famous Dialogues in My Name Is Khan
“My name is Khan, and I’m not a terrorist.”
“Mujhe darr toh bahut si cheezon se lagta hai … par sabse zyada darr tumhe kho dene ke khayal se lagta hai..”
Rab Ne Bana Di Jodi – 2008

Rab Ne Bana Di Jodi Dialogues
“Mujhe aap mein Rab dikha toh mujhe aapse pyar ho gaya . Aap ko kissi aur mein Rab dikha aapko usse pyar ho gaya..”
Chak de! india – 2007

Chak de! india Dialogues
“Sattar minute, sattar min hai tumhare paas. Shayad yeh tumhare zindagi ke sab se khaas sattar minute. Aaj tum aacha khelo
ya bura khelo, yeh sattar minute tumhe zindagi bhar yaad rahenge. Toh kaise khelna hai.. aaj mein tumhe nahin bataunga.
Bas itna kahunga, ki jao aur yeh sattar minute jee bhar kar khelna.. kyunki iske baad aane wali zindagi chahe kuch sahi ho
ya na ho.. chahe kuch rahe ya na rahe.. haaro ya jeeto..lekin yeh sattar minute.. tumse koi nahin chheen sakta, Kyunki
mein jaanta hu ki agar yeh sattar minute is team ka har player apne zindagi ki sabse badhiya hockey khel gaya, tho yeh
satar min Khuda bhi tumse vapas nahin maang saktha.”
Om Shanti Om – 2007

Om Shanti Om Dialogues
“Itni shiddat se maine tumhe paane ki koshish ki hai … ki har zarre ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai. “
“Kehte hain ki….. Agar kisi cheez ko dil se chaaho to puri kayanat usey tumse milane ki koshish mein lag jaati hai.”
Kabhi Alvida Naa Kehna – 2006

Kabhi Alvida Naa Kehna Dialogues
“Mohabbat ke zamaane guzar gaye janaab … ab chote mote pyar se hi kaam chala lijiye aap..”
“Main kisi se advice nahi leta … lekin doosron ko advice dene ke liye hamesha tayaar rehta hoon…”
“Ajnabiyon ki baat sun leni chahiye … kabhi kabhi ajnabi apno se zyada jaante hain..”
“Sochkar kaun shaadi karta hai?”
Veer-Zaara – 2004

Shahrukh Khan Dialogues in Veer-Zaara
“Sachi mohabbat zindagi mein sirf ek baar hoti hai … aur jab hoti hai … toh koi bhagwan yah khuda usse nakamyab nahi
hone deta”
“Woh kehte hai yeh tera desh nahi, phir kyun mere desh jaisa lagta hai … woh kehta hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh
jaisa woh lagta hai..”
“Woh kehte hai ki woh koi nahi thi, phir kyun mere liye duniya se woh ladti hai … woh kehte hai main us jaisa nahi, phir
kyun mujh jaisi woh lagti hai”
“Woh kehte hai mera desh uska nahi, phir kyun mere ghar woh rehti hai … woh kehte hai main us jaisa nahi, phir kyun mujh
jaisi woh lagti hai”
Swades – 2004

Swades Dialogues
“Main nahi manta hamara desh duniya ka sabse mahaan desh hai … lekin yeh zaroor manta hoon … ki hum mein kabliyat hai,
taqat hai, apne desh ko mahaan banane ki…”
Main Hoon Na – 2004

Main Hoon Na Dialogues
“Zindagi nikalti jaati hai aur hum sab pyar ke bina jeena seekh lete hai … kyun pyar ko mauka nahi dete, kyun apno par..”
vishvas nahi karte
“Aapko dekhte hi … main jal bin machali, nritya bin bijli ban jata hoon..”
Chalte Chalte – 2003

Chalte Chalte Dialogues
“Yaad rakhna ki duniya ke kisi kone mein ek aadmi hai joh bahut khush hai … kyun ki tum khush ho..”
“Mujhe nahi malum business kaise hota hai … magar pyar toh aaise hi hota hai..”